Wednesday, 26 August 2015

Shayri 16

(1)
Hame itna pyar mat karna ki,
duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana…..ki
hum duniya ko chhodne k liye majboor ho jaye.

(2)
Kuch Nasha Aapki Baat ka hai,
Kuch Nasha Dhimi Barsat ka hai,
Hame aap yuhi Sharabi mat Kahiye,
ye Dil par asar aapse pahali mulakat ka hai…

(3)
Nigahen aapki pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni…..
Kyounki sanse tumhaari jaan hain hamari…

(4)
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai,
Waise hi aap pas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai…..!

(5)
koi gila na koi shikwa rahe aapse
ye aarzoo hai ek silsila bana rahe aap se
bas ek baat ki umeed hai aapse
khafa na hona agar hum khafa rahain aap se.

(6)
Mohabbat karo tu dhoka na dena,
Pyar ko ansuo ka tohfa na dena,
Dil se Roe koi aapki yaad mein…..
Aisa kisi ko moqa na dena.

(7)
Ankho me armaan diya karte hai hum.
Sabki neend chura liya karte hai hum.
Ab se jab jab aapki palke jhaphkengi.
Samajh lena tab tab aapko yaad kiya karte hai hum.

(8)
Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kaha se Lau,
Yu to Chaand taro ki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kaha se lau…..!

(9)
Ae zindagi yu mujhse daga na kar,
Mai zinda rahu ye dua na kar….
Koi chhuta hai tujhe to hoti hai zalan……
Ae hawa tu bhi use chhuaa na kar….

(10)
Log kehte hain ki ishq itna mat karo,
ki hussan sar pe sawar ho jaaye…..!
hum kehte hai ki ishq itna karo,
ki patthar Dil ko bhi tumse pyaar ho jaye..!

No comments:

Post a Comment